Hakeekat jindgi ki
Kisi panchi se pooch hakikat un udano ki ,jise bacche bhi door se athkheliya kahte hai
Kisi bhanwre se poocho hakikat uske bhinbhnane ki jise log bhi bhramar ka pagal prem kahte hai
Log takdeer ko bhi hatheli ki lakeero se hi padte hai ,yaha roja mitti ke gharonde bante aur bigdtei hai
Hazaro ardo ke peeche ek hakikat pal rahi hai yaha …..
Jamane ki is samajh ko samjhne ki jarurat hai yaha….
Rahgeer se poohco hakikat raste ki,hum to jise kewal mazil pane ka zariya bhar samajhte hai
Kisi chitrkaar se poocho hakikat chitrakaari ki ,Hum to har chira ko kagaz per bikhre rang bhar samjhte hai …
Aaj akhbaro ki chnad khabro ko hmm sacchai maan lete hai
Aaj hmm santo ke prevchno ko shashwat satya maan lete hai
Aaj her pahlu ko samajhne ki jarurat hai yaha….
Her bhram ke peeche pal rahi kuch hakikat hai yaha…
-Sandeep kumar singhal
No comments:
Post a Comment