“Kabhi to koi apna bhi itna door lagne lagta hai, ki diwana ye dil bhi ab mazboor lagne lagta hai
Kuch ankahi baatei jo sun lete thei meri, aaj unse kuch kahne se bhi ye darne lagta hai !!
Dil to cahata hai unhe aaj bhi beintaha ,kabhi unhe bhi ye khaber to ho………
Meri jaan bhi nikal jaaye to kuch gamm nahi, per un per iska kuch asar to ho……
Bus usi din ke intzaar mei bethei hai badi shiddat se yaha unke galiyaro mei
unke her inkaar se hara hua ye dil , fir se unhi se pyaar kerne lagta hai …..
Kabhi to koi apna bhi itna door lagne lagta hai,”
No comments:
Post a Comment