Sunday, June 13, 2010

A poem in "kuch ansh mer jindgi ke"

Ajeeb kashmkash mei fasa hu ek lambe arse se

per ek baat nahi kah pa rha …..

Ek tum hi to wo jiske liye ye saari mushkile hu sah paa raha

zamaane se nahi,such kahu !to sirf tumse hi darr lagta hai mujhko

Kya pata kahne ke baad dosti ke liye bhi taras kha jayu kahi??

Bus yahi soch ker hum rakh lete hai gumnaam khamoshi ki hathei ko us pyaar ki jalti lo per

Per bujhne ke bajaye ye prem ka Deepak to meri hathei hi jala raha hai

Kaafi samjhata hu dil ko tumse pare rahne ke liye, per ye deepak hi is dil ko bahka raha hai …

Bahka hua ye dil ghoomta rahta hai tumhari yaado ki veeran galiyo mei

Or mujhe aa aaker ek khidki se nikle ek maasum se cahre ki yaad dila raha hai …

Jise Dekhne ke liye mei lagata tha un galiyo ke chaaker

aaj unhi galiyo ye mere sandesha leker aa raha hai …….

Bus ek baar usi khidki se jhaank padh lena ek sandesha mera

Kuki ye dil bhi mere saath hi kisi or duniya ki lambi sair per jaa raha hai ………..

Jo shayad hi kabhi aa payega tere ghar ki dehleej per tujhe bulane

Kyuki aaj ek or aashik, fir se ,ek jaeeeb kashmkash mei fasa jaa rha hai………

1 comment:

Kavyanjali on Facebook

Search This Blog