Monday, December 3, 2012

zami per...

Zami per kuch patto ke sarakne ki awaz sunai deti hai 
Aasma mei bhi aaj kuch nayi ghataye dikhai deti hai 
Aisa to nhi tha ki pahle kabhi mukhatibh nhi tha in sabse
Per aaj jaise,in sab mei kuch nayi andazgi dikhai deti hai .... 

Saturday, November 10, 2012

boond do giri

Boond do giri meri aankho se, ek uski ,aur ek meri kahani kahti hai
kahne ka kaam to hota hai jubaan ka per, meri najare hi ab saari kahani kahti hai
ab to aalam ye ho gaya dard bhi lagta hai khoobsurat preet se,
kyuki preet hi to khud dard ki nishani deti hai .
-sandeep kr singhal

Sunday, March 4, 2012

Jab yaad mujhe wo aati hai..



 Kora Kaagaz lekar beithu jab yaad mujhe wo aati hai 
Yaadie uski, baatie uski, mujhko bada statati hai.


Jab leta hu naam Hridya se , Smrati patal per aati hai 
kerna chaahu sparsh matra to Ojhal si jati hai .
fir sochu mei likh leta hu ye Prem kahani kaagaz per 
per likhtei likhtei kalam bhi meri bin bole ruk jaati hai ..!!


Kora Kaagaz lekar beithu jab yaad mujhe wo aati hai 


Ab to mere sapno mei wo pari dikhai deti hai 
Jab bhi dekhu suni rahei wo khadi dikhai deti hai 
Fir sochu mei nend na tadu rakh lu usko palko mei 
per sote sote palak bhi meri bin Bole khul jaati hai..!!


Kora Kaagaz lekar beithu jab yaad mujhe wo aati hai 


Hoker Door aaj bhi mujhse chip chipk milne aati hai 
sapno mei hi milker mujhe fir se door chali jaai hai 
Duniya walo k darr se wo mujhk mil na paai kabhi 
ye thi meri  Prem kahani  jo pooori ho na pai kabhi
ye thi meri  Prem kahani  jo poori hi na pai kabhi..!!

Sunday, February 26, 2012

Gaalib k sahar mei..


Gaalib k shahar mei akela sa  tha mei
Chaaro or se sunta, ajeeb shor sa tha mei..
Is gumnaam jindgi ka, koi maksad to tha
Per poora kerne k liye, Be-akal sa tha mei…..

Jo ek Saath uska mila, to mei sambhal paya
Milker ussei jeene ke, mayne samajh paya…
Khud k aks ko bhi, usmei dekhne laga tha
Ek  anjaan shahar mei  kisi per haq, ab samajhne laga tha..

jab Haq k chiraag se khud ko Rasta dekhana shuru kiya meine
Roshni ne hi chiraag se alag kinaara ker liya….
Dono ki is judai mei…fir se mera dil maayus hone laga hai..
Aaj fir se is ek musaafir , is shahar mei musaafir hone laga hai..

Per ab kisi sahare ki jaroorat mahsoos nhi hoti..
Aankh band ker leta hu to uski bhi kami mahsoos nhi hoti…………

Kavyanjali on Facebook

Search This Blog