Sunday, June 13, 2010

A poem wo akarshan ....

Wo aakrashan ……

Subah subah chaand falak per aya

Meri band palko per gira ek halki se dhoop ka saya

Jab meine palke kholi to tum samne khadi payi

Tum mere nazro mei nahi seedhe dil mei utar aayi

“Apne zazbato ko alfazo mei badalne lage hai

Ab mei bhi kisi se pyaar kernel age hai”

-Sandeep kumar singhal

A poem on "Hakikat jindgi ki....."

Hakeekat jindgi ki

Kisi panchi se pooch hakikat un udano ki ,jise bacche bhi door se athkheliya kahte hai

Kisi bhanwre se poocho hakikat uske bhinbhnane ki jise log bhi bhramar ka pagal prem kahte hai

Log takdeer ko bhi hatheli ki lakeero se hi padte hai ,yaha roja mitti ke gharonde bante aur bigdtei hai

Hazaro ardo ke peeche ek hakikat pal rahi hai yaha …..

Jamane ki is samajh ko samjhne ki jarurat hai yaha….

Rahgeer se poohco hakikat raste ki,hum to jise kewal mazil pane ka zariya bhar samajhte hai

Kisi chitrkaar se poocho hakikat chitrakaari ki ,Hum to har chira ko kagaz per bikhre rang bhar samjhte hai …

Aaj akhbaro ki chnad khabro ko hmm sacchai maan lete hai

Aaj hmm santo ke prevchno ko shashwat satya maan lete hai

Aaj her pahlu ko samajhne ki jarurat hai yaha….

Her bhram ke peeche pal rahi kuch hakikat hai yaha…

-Sandeep kumar singhal

A poem in "kuch ansh mer jindgi ke"

Ajeeb kashmkash mei fasa hu ek lambe arse se

per ek baat nahi kah pa rha …..

Ek tum hi to wo jiske liye ye saari mushkile hu sah paa raha

zamaane se nahi,such kahu !to sirf tumse hi darr lagta hai mujhko

Kya pata kahne ke baad dosti ke liye bhi taras kha jayu kahi??

Bus yahi soch ker hum rakh lete hai gumnaam khamoshi ki hathei ko us pyaar ki jalti lo per

Per bujhne ke bajaye ye prem ka Deepak to meri hathei hi jala raha hai

Kaafi samjhata hu dil ko tumse pare rahne ke liye, per ye deepak hi is dil ko bahka raha hai …

Bahka hua ye dil ghoomta rahta hai tumhari yaado ki veeran galiyo mei

Or mujhe aa aaker ek khidki se nikle ek maasum se cahre ki yaad dila raha hai …

Jise Dekhne ke liye mei lagata tha un galiyo ke chaaker

aaj unhi galiyo ye mere sandesha leker aa raha hai …….

Bus ek baar usi khidki se jhaank padh lena ek sandesha mera

Kuki ye dil bhi mere saath hi kisi or duniya ki lambi sair per jaa raha hai ………..

Jo shayad hi kabhi aa payega tere ghar ki dehleej per tujhe bulane

Kyuki aaj ek or aashik, fir se ,ek jaeeeb kashmkash mei fasa jaa rha hai………

A poem "mei abhi likh hi raha tha ki ..."

Mei to abhi likh hi raha tha ki aap aagaye

Mei to taiyaarbhi nahi ho paya tha ki aap aa gaye

Jo kuch likh thaw o to shuruaat bher thi kuch aage likh pata ki aaplog aagaye

Chaar shabd hi likh paya tha ki aap aagaye

Mei to likhna chahta hu aap logo ke liye 2 ghadi thahar jaaiye dheere dheere aayie yu bheed na baaiye

Wada kerta hu bhar dunga aapki samander si ichaon ko, per samay deker mujh per thoda to taras khaayie..

Abhi likhne ka mann hi banaya tha ki aap log aagaye

Mei to likh bhi nahi paya ki aap log aagaye

kuch ansh meri jindgi ke...

“Kabhi to koi apna bhi itna door lagne lagta hai, ki diwana ye dil bhi ab mazboor lagne lagta hai

Kuch ankahi baatei jo sun lete thei meri, aaj unse kuch kahne se bhi ye darne lagta hai !!

Dil to cahata hai unhe aaj bhi beintaha ,kabhi unhe bhi ye khaber to ho………

Meri jaan bhi nikal jaaye to kuch gamm nahi, per un per iska kuch asar to ho……

Bus usi din ke intzaar mei bethei hai badi shiddat se yaha unke galiyaro mei

unke her inkaar se hara hua ye dil , fir se unhi se pyaar kerne lagta hai …..

Kabhi to koi apna bhi itna door lagne lagta hai,”

-Sandeep kumar singhal

A poem on jeevan ke pravah mei....

Apne bhaavo ko shabdo mei kah raha hu, jeevan ke Pravah mei barso se bah raha hu

Caar sal baad mei kaha aap kaha mei kaha honge jaha bhi honge bus yahi gunguna rahe honge

Jeevan ke Pravah mei hame bathe jana hai

Thodi mushkil thode gamm ko hame sahtei jana hai

Claas mei aage teaher ka hai padana peeche beithar ker ladko ka gunguna na

Thodi si shararat thodi si galtiya hamei yaad aayeingi wo saari mastiya

Jeevan ke Pravah mei …….

Claases bunk kerke canteen mei roj jana baad mei aaker teacher ko manana

dosto ki jab bhi mujhe yaad aaygi sohch 2 k aankhe meri namm hojayegi

dafter ki coffee mei bhi canteen ki chuskiya mujhe yaad aayegi wo saari mastiye

jevab k Pravah mei …….

Tasveer.........

Har Tasveer beeta vakya baya kerti hai, per takdeer ane wale kal ki ahat diya kerti hai

Mein bhi kuch lamho ki tasveer banana chahta tha, per takdeer mujhe ye banana ki izazat nahi diya kerti hai …..

Wo kahti hai

Ruk or sun …..

Her tasweer ko banana ke liye rango ki jarurat hoti hai

Or her rang ke peeche kuch to hakikat hoti hai

Pahle jindgi mei kuch hakikat ker ke t dikha

Tu pahle teri jindgi mei kuch rang bharke to dikha

Fir dekh kaise teri takdeer khud tasveer mei tabdeel hoti hai……

-Sandeep kumar singhal

Kavyanjali on Facebook

Search This Blog