Sunday, June 13, 2010

A poem wo akarshan ....

Wo aakrashan ……

Subah subah chaand falak per aya

Meri band palko per gira ek halki se dhoop ka saya

Jab meine palke kholi to tum samne khadi payi

Tum mere nazro mei nahi seedhe dil mei utar aayi

“Apne zazbato ko alfazo mei badalne lage hai

Ab mei bhi kisi se pyaar kernel age hai”

-Sandeep kumar singhal

A poem on "Hakikat jindgi ki....."

Hakeekat jindgi ki

Kisi panchi se pooch hakikat un udano ki ,jise bacche bhi door se athkheliya kahte hai

Kisi bhanwre se poocho hakikat uske bhinbhnane ki jise log bhi bhramar ka pagal prem kahte hai

Log takdeer ko bhi hatheli ki lakeero se hi padte hai ,yaha roja mitti ke gharonde bante aur bigdtei hai

Hazaro ardo ke peeche ek hakikat pal rahi hai yaha …..

Jamane ki is samajh ko samjhne ki jarurat hai yaha….

Rahgeer se poohco hakikat raste ki,hum to jise kewal mazil pane ka zariya bhar samajhte hai

Kisi chitrkaar se poocho hakikat chitrakaari ki ,Hum to har chira ko kagaz per bikhre rang bhar samjhte hai …

Aaj akhbaro ki chnad khabro ko hmm sacchai maan lete hai

Aaj hmm santo ke prevchno ko shashwat satya maan lete hai

Aaj her pahlu ko samajhne ki jarurat hai yaha….

Her bhram ke peeche pal rahi kuch hakikat hai yaha…

-Sandeep kumar singhal

Kavyanjali on Facebook

Search This Blog