Sunday, February 26, 2012

Gaalib k sahar mei..


Gaalib k shahar mei akela sa  tha mei
Chaaro or se sunta, ajeeb shor sa tha mei..
Is gumnaam jindgi ka, koi maksad to tha
Per poora kerne k liye, Be-akal sa tha mei…..

Jo ek Saath uska mila, to mei sambhal paya
Milker ussei jeene ke, mayne samajh paya…
Khud k aks ko bhi, usmei dekhne laga tha
Ek  anjaan shahar mei  kisi per haq, ab samajhne laga tha..

jab Haq k chiraag se khud ko Rasta dekhana shuru kiya meine
Roshni ne hi chiraag se alag kinaara ker liya….
Dono ki is judai mei…fir se mera dil maayus hone laga hai..
Aaj fir se is ek musaafir , is shahar mei musaafir hone laga hai..

Per ab kisi sahare ki jaroorat mahsoos nhi hoti..
Aankh band ker leta hu to uski bhi kami mahsoos nhi hoti…………

No comments:

Post a Comment

Kavyanjali on Facebook

Search This Blog